Top 5 Short Stories in Urdu For everyone | Life Changing Stories Most Watch
Story No 1
![]() |
urdu stories |
![]() |
life changing stories |
Muhhamad Aftab Tabish:
Attak Fariha Ki Age 122 Saal Aur Ahmad Ki Age 14 Saal Thi Fariha Agarcha
Age Main Apne Bhai Ahmad Se Choti Thi Lakin As Se Ziada Aqal Mand Thi Sheikh
Sadi R.A Ne Farmaya Tha: Bazurgi Aqal Se Hai Mah O Saal Se Nahi, Ak Din Ahamd
Ne Dekha Kah As Ki Bahan Ne Choti Se Matki Jis Ky Ak Taraf Lambai Main Chota Sa
Shurakh Tha Hath Main Utha Rakhi Hai. Ahamad Ne Pucha Yeh Kia Hai? Fariha Ne
Jawab Dia: Is Ka Name Bachat Ghar Hai. Wo Dono Baramday Main Ay Aur Ak Kone
Main Beth Gay.Fariha Ne Bachat Ghar Ko Zameen Per De Mara Aur As Ky Tot tay Hi
Ahmad Ki Ankhain Harat Se Phati Ki Phati Rah Gai Ku Kah As K Samne Das Das,
Bees Bees, Rupee K Note Aur Bohat Sare Coin Bikhray Pare Thay.Ahamad Ne Khush
Hote Howe Pucha Fariha Ham In Rupeeu Se New Khilone Kharide Gay? Fariha Ne Kaha
Nahi Bhai! Khilone To Hamare Pas Pahle Hi Bohat Hain.Main Ne Yeh Rupee Thore
Thore Ker K Is Liye Jama Kiye Thay Kah Kisi Din Zaroorat Parne Per Kaam Ay Gay.
Kia Tum Ne Book Main Nahi Parha Aj Ki Bachat Kal Kam Ay Gi.Apni Bahan K Mun Se
Yeh Sun Ker Wo Khilone Nahi Kharedne Gay.Ahmad Ka Dil Bujh Gia.Is Ne Udaas
Lahje Main Pucha Phir Ham In Rupeeu Ka Kia Karein Gay? Is Per Fariha Ne Jawab
Dia, Mare Piyare Bhai! Kia Ap Ko Nahi Pata Kah Is Waqat Korona Ki Bimari Pheli
Hoi Hai Aur Bohat Se Loog Mushkil Ka Shikar Hain Ham In Rupeeu Se Zaroorat
Mandon Ki Madad Karein Gay.Ap YEh Note Ginay Main Coin Jama Kerti Hu. Wo Dono
Coin Or Note Ginnay Lage, Kul Mila Ker 5 So 3 Rupee Howe. 5 So # Rupee Fariha
Ne Sochte Howe Duhry.Usi Lamhay Ahamd Ne Kaha Itne Kam Upeeu Se Ham Kisi Ki Kia
Madad Ker Sakte Hain, Chalo Khilone Kharidte Hain Fariha: Ahmad Bhai Madad
Karne K Liye Raqam Ka Ziyada Hona Zaroori Nahi Balkah Jazba Aur Niyat Hona
Zaroori Hai.Ahmad Niyat Kia Hoti Hai? Aur Is Ka Kia Matlab Huwa? Fariha: Bahi!
Niyat Kahte Hain Dil K Irade Ko. Kisi Kaam Ka Badla Aap Ko Zahiri Amal K Lihaz
Se Nahi Balkah Ap K Dil Main Kisi Amal Ka Jo Maqsad Ho Ga, Is K Mutabiq Ap Ko
Jaza Ya Saza Mile Gi, Ahamd Phir Bhi 5 So 3 Rupee Se Kisi Ko Koi Khas Faraq
Nahi Pare Ga, Kiu Na Ham In Rupeeu Se Khilone Khareed Laein. Fariha Faraq Parta
Hai Bhai Agr Cha Nazar Nahi Ata Lakin Farq Perta Hai.Faraz Karein Ap Ko Rozana
Pani Se Bhari Ak Balti Mile Aur Rozana Is Balti Se Sirf 2 Gilass Pani Nikal Ker
Gamle Main Rake Pode Main Daal Dia Jay To Ap Dekhay Ge Kah Bhari Hoe Balti Main
Se 2 Gilass Nikalne Se Balti Ke Pani Main Kuch Khas Faraq Nahi Para, Lakin Pode
Ko Zindgi Mil Gai Aur Is Ka Silah Wo Aap Ko Apni Khushbu Se De Ga. Ahmad Herat
Aur Khushi K Mile Jule Jazbat Se Wah Fariha Tum Ne Kitni Umda Baat Kahi, Waqe
Faraq Nahi Perta Sirf Dekhne Aur Samjhne Wali Nazar Chahiye.Aap Aysa Karein Yeh
Rupee Lein Aur Jitne Ho Saken. Mask Le Aein. Phir Ham Dono Mil Ker Apne Paros
Main Rahne Wale Gareeb Logo Main Wo Mask Bantein Ge Ta K Wo Apni Aur Dosron Ki
Qeemti Zindgi Ko Mahfooz Bana Sakein.
Story No 2
Zara Kanwal Awan Muzaffar Garh:
Amir Hamesha Apni Walida Ki Naseehat Ak Kan Se Sun Ker Dosre Kan Se Nikal
Deta.Sab Ghar Wale Us Ki Is Adat Se Bohat Tang Thay.Wo Ghar Ki Sari Jama Punji
Apne Nashe Ki Buri Adat Main Sarf Ker Deta.Is Ka Ak Hi Bhai Tha Imran, Jo Bohat
Mahanti Tha.amir K Walid Teen Saal Pahle Wafat Pa Gay. In Ki wafat K Bad Imran
Ne Apni taleem Adhuri Chor Ker Ghar Ka Gharcha Sanmbhal Lia.Lakin Amir Buri
Sohbat Main Per gia Aur Use Nashay Ki Lat Per Gai. Is K Ghar Walon Ne Usay
Bohat Smjhaya Lakin Us K Kan Per Jun Tak Na Rengti.Is Ky Dost Isay Is K Ghar
Walon K Khilaaf Warglate Aur Wo in Ki Baton Main Ajata.Ak Rooz Amir Nasha Ker K
Raat Ko Deer Se Ghar Pohncha Aur Chilla Ker Apni Walida Se Khana Manga To Is
Per Is Ki Walida Ne Kaha Amir Beta Ghar Main Kuch Khane Ko Hani Hai, Yeh Sun
Ker Amir Teesh Main A Gia, Kiu Kah Ause Bohat Bhuk Lag Rahi Thi Aur Chila Chila
Ker Apni Walida Ko Bura Bhala Kahne Laga. Imran Ne Usay Roka Magar In Ne Kisi
Ki Ak Na suni. Imran Ne Us Ky Mun Per Thaper Mara. Un Ki Walida Yeh Sab Kuch
Dekh Ker Bilak Bilak K RO Rahi Thi. Agli Sunho Maa Ne AMir Se Kaha, Pahle Kam
Ker Raqam La, Phir Ghar Main Khana Pake Ga.Yeh Sun Ker Amir Aag Bagola Ho
Gia,Wo Apni Maa Ko Dhake De Ker Waha Se Bahir Nikal Gia.Jab Wo Apne Dosto K
Pass Pohancha To Us K Pass Paise Na Hone Ki Waja Se Is K Dost Is Se Jhagra
Kerne Lage Or Use Itna Mara Kah Wo Zakhmi Ho Ker Zameen Per Gir Para. Wo Gali
Main Behosh Para Tha.Tab Chacha Karam Dad Ka Waha Se Guzar Howa.Unho Ne Amir Ko
Is Halat Main Paya Aur Wo Usay Hospital Le gay Aur Waha Se Jab Us K Ghar Main
Us Ki Maa Ko Bataya To Wo Bohat Pareshan Hoi.Jab Imran Wapis Aya To Is K Hath
Main Mithai Ka Diba Tha Aur Wo Bohat Khush Lag Eaha Tha, Kiu Kah Is Ki Factory
Main Nokri Lag Gai Thi, Is Ki Walida Bohat Khush Hoi, Lakin Imran ko Amir Ki IS
Baat Ka Ilm Howa To Wo Bohat Pareshan Howa. Ab Amir Ko Apne Bure Rawaye Aur
Buri Sohbat Ki Saza Mil Gai Thi.Wo Ab Bhi Naqahat Mahsus Ker Raha Tha.Is Ne
Apni Walida Se APne Bure Rawaye Aur Buri Sohbat Ki Mafi Mangi To Is Ki Walida
Ne Usy Maff Ker Dia Kuch Din Bad Amir Ak Sarkari School Main Dakhila Le Lia.Ab
Amir Dil Laga Ker Parhai Karne Laga Waqat K Sath Sath In K Gharelu Halat Achy
Ho Gay.
Story No 3
Muhammad Aleem Nazami:
Ami Jan Mai Jan Main Roza Nahi Rakhu Ga.Ami Jan Ki Awaz Per Bablu
Chilaya.Lakin Beta: Aj Se Ramzan ul Mubarak Ka Agaz Howa Chahta Hai Or Pehla
Roza Her Bachy Ko Rakhna Chahiye Balkah Koshish Karni Chahiye Kah Tamam Roze
Rakh Ker Bachay Apne Allah Ko Khush Aur Razi Karein.Ami Jan Ne Bablu Ko Nasihat
Karte Hoe Kaha.Ami Jan Aaj Kal Sakhat Garmi Ka Mosam Hai.Bachay To Ka Bare Loog
Bhi Roza Rakhne Se Hichkichte Hain.Aur Main To Dirf Abhi 10 Saal Ka Howa
Hu.Beta 10 sall Ki Umer Main Her Baachay Ko faraz Roza Rakhna Chahiye Kiu Kah
Yeh Allah Tala Ka Hukam Hain.Magr Ami Jan Mujh Main Itni Himat Nahi Hai Kah
Main Ramzan ul Mubark K Pure Pure Roze Rakhu.Ami Jan Ne Bablu Ki Is Baat Per
Narazgi Ka Izhar Kerte Hoe Kaha Kah Dekho Beta Jo Bachay Ya Jo Log Roze Rakhne
Ki Niyat Ker Late Hain Allah tala Khud Hi Unhain Itni Quwat Ata Ker Date Hain
Kah Jab Wo Roze Ka Ahtmam Kerte Hain To Khud Ba Khud Hi In Main Itni Sakat Peda
Ho Jati Hai Kah Sahri K Waqat Se Le Ker Iftari Tak Unhain Roza Kuch Nahi Kahta
Balkah Jab Bachay Aur Bare Roza Kholte Hain To Unhain Ak Qisam Ki Rohani Khushi
Hasil Hoti Hai.Bablu Ne Kisi Had Tak Ami Jan Ki Baat Se Itfaq Kia Magar Sath
Yeh Bhi Kaha Kah dakhiye Ami Jan Roza Rakhne K Liye To Bhi Sari Umar Pari
Hai.Main Ne Garmi Sardi School Bhi Jana Hota Hai.School K Kam Main 5 6 Ghante
Lagane Hote Hain.Phir Sakht Dhoop Aur Habas Main Ghar Wapis A Ker Kis Tarha
Main Roza Bardasht Karon Ga.Agr Ap Ne Mujhy Rozay Rakhane Hi Hain To Phir Ak
Mah K Liye School Se Mujhe Chuti Le De. Main Roze Ki Halat Main Ghar Main Beth
Ker Ya Leet Ker Sara Din Guzar Lu Ga Aur Yu Aap Ko Bhi Mujh Se Koi Shikayat
Nahi. ami Jan Bablu Ki Yeh Baat Sun Ker Qadray Gusay Main Aa Gein. Aur Unho Ne
Bablu Ki Baat Kat te Howe Use Kaha Kah Dekho Bablu Tum Akele Hi Nahi Balkah
Duniya Bhar K Tamam Muslman Bachay Apne Aschoolo Main Tumhari Jaisi Umar K
Mutabiq Jate Hain Unho Ne Roza Bhi rakha Howa Hota Hai Aur Tamam Zindgi K Kaam
Bhi Kerte Hain. School K Kaam K Elawa Sahri Se Le Ker Iftari Tak Allah tala Ki
Ebadat Kerte Hain 5 Waqat Ki Namaz Ada Kerte Hain.Tilawat Quran Pak Kerte
Hain.Saath Gharelu Kam Kaj Main Bhi Hisa Late Hai Is K bawjud Wo Khush O Huram
Aur Taza Dam Rahte Hain. Phir Tumahin Kia Qabahat Hai Kah Tum Ak Roza Bhi Nahi
Rakhne Ko Kah Rahy.30 Roze To Door Ki Baat Hai.Ani Jan Ki Yeh sabaq Amoz Batein
SunKer Bablu Kuch Sharminda Ho Gia Aur Us Ne Ami Jan Ki Banhon Main Apni Bahein
Dalte Hoe Kaha Qadray Khushi Se Kaha Kah Dakhiye Ami Jan Ap Ki Roza K Mutaliq
Batein Mare Dil O Dimag Main Saraiyat Ker Gai Hain. Main In Baton Se Bohat
Mutasir Howa Ho.Main Ap Se Wada Kerta Hu Kah Aaj Pehla Roza Rakhon Ga Aur Insha
Allah Sare Roze Pure Ker K Apne Allah, Ami, Abu Aur Bahan Bhaiyu Ko Bhi Khush
Karon Ga.Bablu Ne Roza Rakhne Ki Ha Kah Ker Sab Ghar Walon Ko Lajawab Ker Dia.
Story No 4
![]() |
moral stories in urdu & hindi |
![]() |
best urdu moral story |
Tuba Saddiqui Jaran wala:
Asslam Ak Gareeb Lakin Nihayat Honihar Talib Ilm Tha.Is K Walid Ak Mamuli
Si Dokan Per Kaam Kerte Thay.In Ki Tnakhwa Bhi Kam Thi.School Main Aslam Ka Ak
Dost Jawab Tha Jo Ameer Gharane Se Taluq Rakhta Tha. Ak Roz Aslam K Walid Sarak
K Hadsay Main Zakhmi Ho Ker Mazoor Ho Gay. Agle Din Aslam School Gia To Kisi
Bhi Kaam Main Us Ka Dil Nahi Lag Rha Tha.Wo Sara Din Pareshan Betha Raha.Us K
Dost Jawad Ne Jab Is Ki Yeh Halat Dekhi To Puchay Bager Rah Na Saka. Aslam kia
Baat Hai? Tum Mujhe Kuch Pareshan Se Lag rahy Ho. Jawad Ne Pucha Kuch Nahi Bas
Thora Sa Sar Main dard Hai.Aslam Ne Talna Chaha. Agr Koi Pareshani Hai To Mujhe
Batao Main Tumahara Mukhlish Dost Hu.Main Zaroor Tumhai Madad Karon Ga. Jawad
Se Apne Dost Ki Pareshani Dakhi Na Gai To Is Ne Phir Pucha.Aslam Ne Socha Kah
Wo Agr Jawad Ko Apna Sara Masla Bata De To Shaid Is Ka Dil Ka Bojh Kuch Kam Ho
Jay.Aslam Ne Apne Abu Jan K Bare Main Sari Baat Jawad Ko Bata DiAur Sath Yeh
Bhi Bataya Kah Kaam Per Na Jane Ki waja Se Us Ky Walid Ki tankhwa Bhi Nahi Mil
Sake Gi. Jawad Ko Aslam K Walid K Bare Main Sun Kar bohat Dukh Howa. Mare Dost
tm Pareshan Mat Ho.Main Apne Abu Se Baat Karon Ga.Wo Zaroor Tumhare Masle Ka
Koi Hal Nikal Lein Ge. Jawad Ne Apne Ghar Pohach Ker Apne Abu Ko Aslam K Bare
Main Sab Kuch Bata Diya.Yeh Sab Kuch Jaan Ker Jawad K Abu Ka Dil Bhi Gam Se
Bhar Gia Aur Anhon Ne Aslam Ki Madad Karne Ka Faisla Kia.Agle Rooz Atwar Ki
Chuti Thi.Achanak Aslam K Ghar K darwazy Per Dastak Hoi.Aslam Ne Darwaza Khola
To Samne Jawad Ko Apne Abu K Sath Khara Dekh Ker Wo Bohat Khush Howa aur In Mo
Ander Le Aya.Jawad K Abu Ne Baat Shuru Ki Aur Aslam K Abu Ko Tasalli De Ap
Bilkul Na Ghabrein. Jab Tak Ap Mukaml Sahat yab Nahi Ho Jate Ghar K Kharch Ki
Taraf Se Be Fiker Ho Jain. Dawaon Ka Kharach Aur Aslam Ki Fees Ka Bandobast Bhi
Ho Jay Ga Ham Koshish Karein Gay Kah Ap K Ghar Walon Ka Puri Tarha Khayal
Rakhein.Yeh Sun Ker Aslam K Abu Ki Ankhein Anshunu Se Bhar Gein Aur Anho Ne
Jawad K Abu Ka Bohat Shukarya Ada Kia Aur Is Se Aslam Aur Jawad Ki Dosti
Mazboot Ho Gai.
Story No 5
Hareem Khan:
North Karachi Bharat Main Hadir abad Dukan Se Saat Meel Door Kolgandha Nami
Ak Shar Hai Jaha Ak Kisan Apne Kheton Main Bij Bo raha Tha Subho Ka waqat Tha.
Ilaqay Ka Nawab Sair Kerta Howa Waha Se Guzra. Kisan Ko Mahnat Se Kaam Katre
Howe Dekh Ker Nawab Ne Socha Kah Kisan Se Is Ki Khariyat Daryaft Karni Chahiye
Wo Ghore Se Utra Aur Kheet K Kinare Pohanch Ker Kisan Se Pucha Kiu Bhai Khati
Bari Main Tum Is Qadar Mahnat Kerte Ho Kitna Kuch Kama Late Ho? Kuch Faida Bhi
Hota Hai Ya Nahi? Kisan Ne Sar Uthaya
Aur Nawab Se Kaha: Faida Kia Janab! Fasal Katne K Bad Is K Char Hisay Ker Leta
Hu. Nawab Ne Pir Pucha Acha To In Charo Hison Ko Kharch Kaise Kerte Ho? Kisan
Ne Jawab Dia: Ak Hisa To Hakumat K Tax Main Chala Jata Hai, Dusra Hisa Qaraz
Chukane Main Khatam Ho Jata Hai.Tesra Hisa Udhar Deta Hu Aur Baqi Chota Hisa Yu
Hi Luta Deta Hu.Nawab Ko Kisan Ki Yeh Ajeeb O Gareeb Batein Sun Ker Tajub
Howa.Harat Se Pucha.Tumhari Batein Mari Samjh Nahi Aein.Saf Saf Bato Tum Qaraz
Chukate Bhi Ho Or Dete Bhi Ho. Aysa Kon Sa Qaraz Hai Jo Her Fasal Per Ada Kerte
Ho Or Phir Bhi Khatam Nahi Hota Or Wo Kon Hai Jise Tum Hamesha Qaraz Dete Ho Or
Phir Chothai Raqam Tum Yu Hi Ura Dete Ho? Kisan Ne Jawab Dia Janab Baat Darasal
Yeh Hai Kah Mare Walid Ne Ak Sahu Kar se Raqam Udhar L Thi Walid K Marne K Bad
Us Ka Sood Main Ada Kerta Hu.Ak Hisa Tax Dane K Bad Dosra Hisa Ada Ho Jata Hai.
Aur Tesra Hisa Kisay Udhar Dete Ho?Nawab Ne Pucha Kisan Ne Kaha Yeh Main Apne
Do Larkon Per Kharach Kerta Hu Ta Kah Burhape Main Wo Mujh Per Kharach
Karein.Nawab Ne Pucha Aur Ak Hisa Fazool Kiu Ura Dete Ho? Kisan Ne Kaha Mari Ek
Larki Bhi Hai. Ap Ko Pata Hai Aaj Kal Jaheez K Bina Shadi Nahi Hoti Aur Jazeez
Ak Fasool Rasam Hai. Chotha Hisa Us K Jaheez K Liye Rakhta Hu Mari Nazar Main
Yeh Raqam Lutana Hi Howa/ Nawab Us Ki Mud lal Gufgu Se Bohat Mutasir Howa Aur
Ak Bari Raqam usay Inam K Toor Per De Ker Rukhsat Ho Gia.
Omeed Hai Dosto Aj Ki Yeh Short Urdu Stories Ap Ko Zaroor Pasand Ai Ho Gay Dosto In Ko Apne Dosto K Sath Zaroor Share Karein Or Comment Main Apni qeemti Ray Ka Izhar Zaroor Karein Thanks For Watching.
TAGS
urdu stories,life changing quotes,life changing stories,moral stories in urdu,short stories,stories in urdu,life changing video,urdu moral story,moral stories in urdu & hindi,motivational speech in urdu,story in urdu,best urdu moral story,urdu kahani,urdu digest stories,urdu story,rules of life,kahani in urdu,sabaq amoz kahani hindi urdu,life changing story in urdu,urdu stories for kids,stories,moral stories in hindi,stories for kids in urdu
1 Comments
namaz quotes
ReplyDelete