Teen Dost Tota,Chuha aur Khargosh Sabaq Amoz Kahani in Urdu

 Teen Dost Tota, Chuha aur Khargosh Sabaq Amoz Kahani in Urdu



amina gaffar: 

 tota,chuha aur khargosh apas main gahre dost thay.wo teno mil jul ker rahte thaty.khargosh sab k liye khana pakana,ghar ko saf kerna aur sambhalta.chuha ghar k liye anaj,rashan pani,sabzi tarkari bazar se lata aur tota jungle se kuch lakriyan bazar main ja ker baech ata.es tarha teeno khub mahnat aur mushaqat kerte aur khushi khushi rahte.in ki yeh gahri dosti aur meel milaap pros main rahne wali lumri ko ak ankhna bhata tha.makar lumri ny ak din moqa pa ker totay ka haal chaal deryafat kia.ham loog khub mazy se khush hain.totay ny jawab dia.: ha bhai! tu hi hai jo jo etni mahnat kerta hai. din bhar jungle main lakriyan ekathi kerta phirta hai aur tery dono sathi ghar main bethy araam e mooj masti kerty rahte hain.
totay ny kaha nahi nahi wo dono bhi khub kaam kerty hain. kia khak kaam kerte hain.chuha zara sa pani bhar ker lata hai door ker bazar se thori si sabzi la ker din bhar ghar main para leta rahta hai,khargosh subho aur sham roti paka leta hai aur din bhar chuhay k sath mil kr gap hangty rahta hai. bas bewqoof to tu hai totay bhai! jo din bhar mara mara phirta rahta hai,jubgle se lakryon ka gatha bana ker bazar le jata hai aur usy baech ker paysy lata hai tujhy to pura din kaam kerna parta hai. 
lumri ny makari se kaam lete howy totay ko apne jhansy main leeny ki koshish ki.tota bola nahi nahi aysa her giz nahi hai.acha thek hai.itna bool ker lumri apne raste chali gai.aur tota lakriyanleny jungle chala gia,us k dil main khiyal aya kah lumri sahi kah rahi hai kaam kaaj  to main hi ziyada kerta hu.tota sham ko ghar lotne k bad chuhay aur khargosh se kaha kah, rooz rooz lakriyan laty laty main bohat ziyada thak gia hu.is liye ham apas kaam badal lete hain.main ghar per rah ker khana banya karon ga.chuhay aur khargosh ny jab yeh anokhi baat suni to bohat heraan rah gay.paehlay to un dono ny totay ko manany ki koshish ki lakin jab wo na mana to phir chuhay ny kaha chalo thek hai
 main hi jungle se lakriyan ly aya karon ga.dosry din chuhalakriyan lany jungle chala gia. shaam ho gai lakin chuha ghar wapis na aya.khargosh ko bohat fiker hoi us ny kaha kah chalototay bhai! chuhay ko jungle main talash kerty hain. tum ghar per hi raho main khud jaa ker dekhta hoon kah chuhay ko deer kaise ho gai. totay ny kaha. tota thori teer baad lota wo bohat udaas tha us ny khargosh ko bataya kah chuha jab lakriyan ly ker loot raha tha to bili ny usy mar ker kha liya. khargosh ki ankhon main anson teerny lagy. tota bhi rony laga kah teen doston main se ak ki fazool main makar lumri k bahany ki wajah se jaan chali gai.sawery uth ker tota khargosh ko lumri ki sari batain bata ker rooty howe maffi mangny laga aur kaha kah ab ham dono mil jul ker hi rahin gy aur yeh bhi wada kia kah wo aainda kabhi bhi makar lumri se nahi milein gy. 

Dosto aj ki yeh kahani ap ko kesi lagi apni qemti ray ka ezhar comment main zaroor karein aur es kahani ko apne dosto ko sath bhi zaroor share karein ta ka wo bhi is se lutafandoz ho sakein aur agr ap ne abhi tak hmare channel ko subscribe nahi kia to jaldi se subscrube ker lein ham apne channel per islami waqiat,sabaq amooz kahaniyan,aqwal e zareen,paheliyan wagera ki videos uplode kerte hain jo k ap ko zaroor pasad ayin gi.Thanks for Watching


Related Posts: Click Here

Your Queries:
sabaq amoz kahaniyan | sabaq amoz kahaniyan in urdu | sabaq amoz kahani | stories in urdu | 
urdu kahaniyan | urdu stories | sabaq amoz kahani in urdu | moral stories in urdu | urdu kahani | sabaq amoz kahani hindi urdu | sabaq amoz kahanian | sabaq amoz kahani urdu | kahaniyan in urdu | urdu sabaq amoz kahanian | urdu story | urdu kahaniyan new | urdu kahani sabaq amoz | story in urdu | urdu kahaniya | sabaq amoz kahani hindi/urdu | new sabaq amoz kahani | sabaq amoz kahani in hindi


Post a Comment

0 Comments